Ad Code

Free Hosting

Digital Marketing Kya Hai Learn Free Digital Marketing Hindi

Digital Marketing Kya Hai? Dosto Aaj bhi India me bahut se log ye nhi janate hai ki Digital marketing Kya hoti hai, Aur Digital Marketing small business me kyu important Hoti hai.
Agar aap internet se online shopping kar sakate hai to aap ushe online sell bhi kar sakte hai. 

Digital Media Marketing tools aur Strategy use karke aap bahut hi asani se apne Small business ke product ko online Sell Kar Sakate hai.

Aaj ke samay me har chota yaa bada vyaapari Apne business ko promote karne ke liye unke holding, banner, Ya papers me Ads nikalwata hai. taaki log usko dekhkar product ki jankari le sake aur ushe purchase kar sake.

India me JIO ke aa jane ke baad internet uses me kaafi teji ayi hai, ishe online Internet marketing me bhi kaafi jyada teji ayi hai. aur har aadmi iska sahi use bhi kar raha hai.
Digital Marketing Kya Hai, Learn Free Digital Marketing Hindi, डिजिटल मार्केटिंग क्या है


Digital Marketing Kya Hai? Digital Marketing Defination

Digital Marketing Kya Hai? Digital Marketing Online Internet Marketing ka wah Hissa hai, Janha se Aap apne business ke product ko online sell aur uska advertisement kar sakate hai, aur Apni sell ko increase kar sakte hai.

Digital Marketing Ki Defination Simple word me Samjha jaye to aapke business ki website, search engine, blog, social media, Email, WhatsApp Media, par hone wali marketing hi Digital Marketing Kahlati hai.

Digital Marketing Kya Hai? Aap yah soch rahe hoge ki kyaa Mai Digital Marketing Sikh Sakata hu.

Digital Marketing sikhane ke liye aapko online Internet par time dena hoga. 
Kyuki jab tak aapko apni khood ki digital marketing Strategy buildup nhi hogi tab tak aap safal nhi ho sakate.

Digital Marketing Sikhane ke liye india me bahut se Institute khul gaye hai. jo aapko Internet se paisa kamane se leke Social Media Marketing Course ko karwati hai.

Type Of digital Marketing

Online Marketing Itni jyada teji se fail rahi hai ki aapko har samay ek nayi Digital Marketing Strategy Sochni pad jayegi. 
Agar hum baat kare type of digital marketing ki to ye bahut se alag alag tariko se ki jaati hai.
✔ Search Engine Optimization (SEO)
✔ Search Engine Marketing (SEM)
✔ Pay per Click Advertisement (PPC)
✔ Social Media Marketing
✔ Content Marketing
✔ Email Marketing
✔ Affiliate Marketing Program
✔ Email Marketing
✔ Video Marketing
✔ Mobile Marketing
✔ Radio Advertising
✔ Television Advertising

Digital Marketing ka ek Example deta hu aapko, Jaisa ki aapne kabhi kisi mobile ke jankari google par search ki hogi. Uske baad same wnhi mobile phone ke ads aapke Browser me show hone lagate hai.

Yani Google ko ab pata chal gaya hai ki aap ish mobile me interested hai. Google Aapko tab uske Ads dikhate rahata hai, jab tk aap usko click na kar de. Ishe search Engine Marketing kahate hai.

Why is digital marketing important in Hindi

Aaj se kuch saal pahale Digital Word Bahut kam hi log janate they, aur jo janate bhi they unhe ye nhi pata tha ki digital Marketing Kitni important hai.

Pahale ke log aapne business ke product ko promote karne ke liye TV Ads, Radio Ads, Newspaper, Magazines me Banner aur hording lagate they. Taaki logo ko unke product ke bare me jankari mil sake.

Lekin aaj ke time me aisha bikul nhi hai, kyu Aaj lagbhag Har tisare Aadmi ke pass Smart Phone hai aur wahh Internet se juda huya hai.

Internet se connect hone ke karan ab wahh newspaper apne mobile phone me hi pad leta hai. Aaj ke liye Apna jyada se Jyada Apna time social media par bitate hai.

Facebook, Twitter, Instagram aishe social network hai jo ab logo ke real life ka ek hissa ban gaye hai. Agar inhe wo check na kare to Din pura nhi hota hai.

Digital Marketing ka sabse accha tarika Social Media hai. kyuki aaj duniya ka lagbhag har aadmi Social Media platform par available hai.

Digital Marketing ki importance ka ek example aur deta hu aapko. Pahale log apna time pass karne ke liye tv dekhate they. Aur tv par hi bich me Products ke Ads show hote hai.
Television par dikhaye gaye Ads users ko attracts Karte hai, aur fir hum ushi product ko purchase bhi Karte hai.

Lekin Ab hum apna Time Pass Tv dekhkar na karke YouTube ke video ko dekhakr karate hai. YouTube par aapko Bahut se Important knowledge mil jaati hai, jabki tv par nhi.

Free Digital Marketing Learning Course

Digital Marketing Kya Hai, Digital Marketing expert banane ke liye appko knhi na knhi se Digital marketing ke course ko sikhana padega, Agar Aap yah soch rahe hai ki Internet par to Digital Marketing ke course English me sikhate hai. To ghabrane ki baat nhi hai.

Free digital Marketing course aap internet par aapk Free me bhi available ho gaye hai. janha se aap Social Media Marketing sikh sakate hai.

Digital Marketing ke course aap Hindi language sikha sakte hai wo bhi Free me. India me Bahut se Digital Marketing Courses aur Coaching Programs hain jo aapko free me digital marketing sikhate hai. Aur course complete ho jane ke baad Aapko Digital media expert ka certificates bhi dete hai.

Digital Deepak Yah Ek aishe website hai jo aapko Digital Marketing course free me karwati hai.
Digital Deepak ke founder Deepak kanakaraju jee hai Jo ek digital marketing consultant hai aur Bangalore se belong karate hai.
Digital Deepak online course se aap free me 3 month ka digital media marketing ka course sikh sakate hai, course complete hone ke baad aapko Digital Deepak Certificates mil jayegaa.


Learn Free Digital Marketing Hindi, soravjain digital marketing

Free Digital Marketing Course Aap SoravJain se Bhi Sikh skate hai. Soravjain ne India me 150+ workshop attend karwayi hai, our India Me digital Marketing ko badawa Diya Hai. 
Jaise  Email Marketing, Social Media Advertisements, Generating Leads Online, Content Marketing, Influencer Marketing, Google Adwords, Corporate Blogging, Personal Branding and more.

Digital Marketing Conclusion:

Digital Marketing expert banana itn asan nhi hai, lekin ab aap jan chuke hai ki digital Marketing Kya hai.
Free Digital marketing Course aap knha knha se sikh sakate hai, aur Digital Marketing IT Industry me kyu important hai.
Digital marketing ki khash baat yah hai ki aap Isko sikh jaane ke baad Badi badi companyio ke Digital Media Campaigns Aap Ghar par baithe baithe hi kar sakate hai aur Lakho rupaye kama Sakate hai.

Ad Code

Free Hosting