Dosto Notebani ke baad India me 30% payments ab cashless ho gayi hai, Yani Ab agar apke wallet me cash nhi hai to App payment wallet app ya UPI ke through payment kar skate hai wo bhi bina kisi bank transaction.
To Ab aap Ye soch Rahe honge ki Online Digital Payment ke Liye Best UPI App kaun si hai aur Usko kaise use karenge.
India me waise to bahut se money transfer app available hai, Lekin users unhi ko jyada use karta hai jo Asani se online money transfer kar sake. Online payment Application ki baat ki jaye to aapko Google play Store ya iPhone ke App Store par bahut se Application jaise Google Tez, Paytm, Bhim App, Mil Jayenge.
Aap unko Install karke Money Transfer aur Mobile recharges kar Skate hai. Best UPI App ke bare janane se pahale Aapko Pata hona chahiye ki UPI Kya hai Aur yah Kaise Kaam Karata hai.
UPI Kya hai? UPI ka full form Unified payments Interface Hai. UPI ki surawat NPCI ki taraf se huyi hai.NPCI ka fullform National Payment Corporation of India Hai. Ye wo Origination hai jo India me sabhi banks ke Online transaction ko Manage karti hai. UPI ka Matlab Aap Aishe Samjh Sakate hai,
Jaise pahale Agar aapko Kisi ke account me paise transfer Karne hote they. To aap bank me jakar form fill karte they then bank ki line me lagkar bank account me paise jama karne ke liye dete they. Aur ish process me kam se kam 1 din ka samay lag jata tha.
Wnhi UPI ke aa jane ke baad aap kisi bhi bank account me online money transfer Kar sakte hai. wo bhi bina kisi line me lage aur time waste kiye bina hi. Ish Article me mai aapko best UPI App ke bare me bataunga jo aapki online money transfer karne me help karenge.
Best UPI App List In India for Digital Payment
Google Tez:
Best UPI App ki list me Google tez Pahale number par ata hai. 19 September 2018 ko Search engine Google ne Apna Online payment UPI App India me lunch kiya hai Joki Google tez ke Name se Jana jata hai. Abhi bahut se logo ko nhi pata hai ki Google tez App Kya hai aur Ushe kaise Use Kiya jata hai.
Google tez ko India ke Chancellor Minister aruj Jetali Jee ne luch kiya hai. India me demonization ke baad online payment getaway ki demand jyada badh gayi hai. Ishi ke chalate Google ne bhi Online security ko dekhte huye Apna Khood Digital Payment UPI Aap develop kar diya. Download Google Tez Application
Google Tez App Features Full Details In Hindi
✔ UPI based Digital payment Application
✔ Free For All India users
✔ No Bank Transaction Charges up to 50000
✔ Pay Or receiver Unlimited Money
✔ Direct bank account Money Transfer Option
✔ 7 language Support
✔ 55 Indian Bank Support
✔ 24/7 support
BHIM App:
Best UPI App ki list me BHIM App Dusare Number par hai. India me demonization ke baad Curreption ko rokane ke liye aur digital India ka sapna Sakar karne ke liye Prime Minister Mr. Narendra Modi jee Ne BHIM App Ko 30/12/2016 ko India me lunch kiya tha.
Digital India ke campaign ko agr badane me help karne wala Bhim Aaplication khash taur par Indians ke liye banaya gaya hai.
PhonePe Application puri tarah secure hai. Aur aap Iske trough online Payment Bahut hi Asani se kar Sakte hai. Yah Sabhi 2G, 3G, 4G, sabhi phone me Install hoga iski size android users ke liye 2MB ki hai. Download BHIM App
BHIM App Features Full Details In Hindi
✔ Fast and secure payment getaway
✔ No transaction charges up to 50000
✔ Bhim App apk size only 2MB
✔ Easy Online Money Transactions
✔ UPI based Application
✔ 30 India bank support
✔ 24/7 support
PhonePe App
Well popular e-commerce website Flipkart me Apna Digital Payment App PhonePe lunch kiya hai, PhonePe Application ko Kaise Use kare ya Kaise install Kare in Sab ki Jankari Aapko Youtube Par Mil Jayegi Jinko Dekh Kar Aap bhi PhonePe App ko Install Kar Sakte hai Aur Online Money Transfer kar skate hai.
Yaani Agar PhonePe App Aapke Mobile phone me install hai to Aapko apne account ya kisi aur ke account me paisa jama karne ke liye ghar se Bahar Nikal Kar bank jaane ki jarurat nhi padegi.
phonepe ek Unified Payments Interface(UPI) based app Hai jin ko flipcart ke ek group National Payments Corporation of India (NPCI) ke dwara lunch kiya gya Hai yaha par aap all online payment kar sakte hai.
Phonepe apps aap ke Mobile number par work karta hai aap ke bank account me number link honge automatically connect ho kar aap ki bank ki jankari provide karega.
PhonePe App Features Full Details In Hindi
✔ Online mobile recharge prepaid recharge and postpaid
✔ Online water payment petrol, Details, Etc all India
✔ Air tickets, movie tickets, railway tickets Etc tickets booking now PhonePe apps
✔ Bank to bank money transfer only register mobile number
✔ High capacity (100,000) money sending other bank accounts
✔ 2 step security one mobile number and second MPIN system
✔ Any version Android Mobile supported Android app
✔ 31 Bank support karta hai kisi ko bhi use kar sakte hai
Best UPI App Conclusion
Maine Apko Ish Article me 3 best UPI App ke bare me puri Jankari De di hai, Finally Agar Hum online digital payment Aaps ki baat kare ki isme se kaun sa Sabse Jyada Best aur easy hai, to main aapko Google Tez ko recommend karunga.
Kyuki Abhi tak Online Digital payment wallet ke liye Google ne sabse acchi services provide ki hai, Iske Sath hi aap Google tez se 100 Rs se leke 1 lack tak online payment karne par nischit roop se kama sakate hai.
1 Comments
There are top e wallets in india that can be used for money transaction, however i like your content that's just up to the marks.
ReplyDelete